Dil aaj pareshan hai... Kitna bhi samjhao Har chhoti chhoti baat Par naraj hota hai Aur khush hota hai Uski is adat se badi pareshan Ho jaati hun Dil aaj pareshan sa hai Har chaht puri karna chahta hai Dil ko kun samjhaye har chaht Puri nahi hoti Sukh bhi hai dukh bhi hai Par bada jiddi hai Manta he nahi hai Dil aaj pareshan sa hai Kai baar chhoti chhoti baato Par wo ghabra sa jaata hai To kabhi bade dukh mei sahsi ban Jaata hai Kabhi sab ke aashu pochta hai To kabhi chhip chhip kar rota hai Dil aaj pareshan sa hai Kabhi akele bhi khush hota hai To kabhi bhid mei bhi akela ho jaata hai Kabhi sab ka saath deta hai To kabhi saath chahne lagta hai Dil aaj pareshan sa hai Kabhi badi badi baate karta hai To kabhi chhoti chhoti baate bhi Nahi samjhta Kabhi bada anubhavi ban jaata hai Kabhi abodh ban jaata hai Dil aaj pareshan sa hai