Chahat
Posts
Showing posts from September, 2017
- Get link
- X
- Other Apps
Sarthakta Jivan mei sarthakta ka hona jaruri hai Apne liye bhi aur dusro ke liye bhi Hum sab ne bachpan se padha aur suna hai "Bada hua so kya hua jeise ped khajur Panthi ko chhaya nahi phal laage ati dur" Sach hai naa sirf bade hone se kya hota hai u kahe ki zindagi mei eisa ban kar bhi kya jo kisi ke kaam naa aa sake Ek aur bada achha udaharan yaad aa raha bargad ka ped iske niche itni chhaya rahti hai itni shitalta rahti hai par uske chhaye ke niche koi pudha panap nahi sakta arthat kabhi kisi ko itna sanrakshan bhi naa dijiye ki wo apna astitv apna vajud ya u kahe apni kabliyat bhi naa pahchan sake!! Hamesha ek phaldar aur itne he chhayadar rahe ki dusro ki bhi jagah ho aapke aas paas Naa itne bade bane ki dusro se door ho jaaye aur naa itne chhayadar ki dusra apna astitv kho de Aam ki ped ki trah bane majbut bane phaldar bhi ho vinamrata bhi ho chhaya bhi ho aur patti ho ya lakdi ya phal