Sarthakta                                                          

Jivan mei sarthakta ka hona jaruri hai
Apne liye bhi aur dusro ke liye bhi
Hum sab ne bachpan se padha aur suna hai

"Bada hua so kya hua jeise ped khajur
Panthi ko chhaya nahi phal laage ati dur"



Sach hai naa sirf bade hone se kya hota hai u kahe ki zindagi mei eisa ban kar bhi kya jo kisi ke kaam naa aa sake


Ek aur bada achha udaharan yaad aa raha bargad ka ped iske niche itni chhaya rahti hai itni shitalta rahti hai par uske chhaye ke niche koi pudha panap nahi sakta arthat kabhi kisi ko itna sanrakshan bhi naa dijiye ki wo apna astitv apna vajud ya u kahe apni kabliyat bhi naa pahchan sake!!


Hamesha ek phaldar aur itne he chhayadar rahe ki dusro ki bhi jagah ho aapke aas paas
Naa itne bade bane ki dusro se door ho jaaye aur naa itne chhayadar ki dusra apna astitv kho de

Aam ki ped ki trah bane majbut bane phaldar bhi ho vinamrata bhi ho chhaya bhi ho aur patti ho ya lakdi ya phal sab kuchh upyogi hai
 uska to apna zivan apne aur dusro dono ke liye sarthak banaiye dusro ke liye sarhak hote he hum khud sarthak ho jaate hai !!

Comments

Popular posts from this blog