ABHIVYAKTI

Wo mujhe bewkuf banata raha
Aur mai bewakuf banti rahi
Sirf ek riste ki khatir
Khud ki khatir
Uski khatir
Ya samaj aur pariwar ki khatir..?
Aur isi kasmakas mei
Umar dhal jaati hai
Akhir mei kuchh bhi nahi bachta
Sirf afsos ke...
Par kya ye uchit hai
Kyu nahi sahas aata
Kuchh kahne ka
Kuchh alag kar lene ka
Jhuth ki khushiya talaste huye aankho mei sirf aashu he aankho mei bharte hai...
Kya sab kuchh sambhale rakhne ki jimedari sirf meri hai..
Mei har riste ko jode rakhne mei apni kurbani deti rahu kab tak
Sahas to karna hoga
Galt ko galt aur sahi ko sahi kahne ki
Apni bhavnao ko abhivyakt karne ki takat to honi he chahiye
Wo sanskar kis kaam ka jo mujhe kamjor banata ho
Sahas ki nai parmparaye dalni hogi
Tabhi aurat saksham hogi
Aur hum shasakt honge...

Comments

Popular posts from this blog