Bahut dard tha uske sine mei
Har baar uska man aaht hota tha
Haan kyuki wo suteli thi
Suteli maa banana uska durbhagy tha
Wo to bs maa jaanti thi
Par jamane ne use gahra ghaw diya
Kyu hamesha maa he apni aur dusri hoti hai
Bachcha bhi to hota hai apna ya dusra sawal us par kyu nai uthte
Apni maa bilkhte bacho ko chhod jaaye
Kude karkat mei fek de
Galiya de mare pite sab sahi
Par koi laakh apna ho par janam naa de to wo itni buri kyu ho jaati hai
Samjh nahi aaya ki riste sutele hote hai ya vyvhar har baat par ek janam ka rista bhari pad jaata hai
Keisi vidambana hai soch ki
Kyu ek aurat ko apna hone achha hone ka sabut maanga jaata hai
Maa to maa hoti hai
Rista to rista hota hai
Agar janam he sabse badi baat hai to itne vridha ashram aur anath asram kyu hai
Kya us aurat ki mamta nahi kachotati hogi jo apna sara jivan waqt aur pyr kisi aur ke janam diye bacho ko deti hai
Uski mamta kitna tadapti hogi
Par jab wahi bache apne janam dene wale ke prati apnapan rakhe aur chhod kar chali jaaye aur jo apna jivan laga de use bura kahe
Baar baar log use shanka bhari najaro se dekhe shyed wo jaan bhi de de to sirf janam naa dene ke karan wo suteli he kahlayegi
Aur majhdhar mei chhd jaane wali maa apni
Ek maa ka farj naa nibha kar bhi maa hai
Aur ek farj nibha kar bhi uski mamta ko virane nashib hote hai sochiye kabhi uski chhatptaht ko jo khokhlapan use mita hoga us riste se sari mahnta laad di jaati hai
Us aurat pe kya gujarti hogi jise eisi prasthitiya milti hai
Ek traf hum yasoda ke gungan karte hai aur dusri traf kisi ko aasu bahane ko majbur karte hai jo parivar samjh nahi sakta unhe kabhi kisi ladki ka jivan kharab karne ka haq nahi hona chahiye wo bhi to ek aurat hai mamta par uska bhi haq hai
Sirf jimedarito ka bojh he naa daale uske bhi sapne hai khwaishe hai use samjhe
Varna eisa naa ho ki kisi ki galti ki saja use bhogni pad rahi ho manvata ki badi badi baato se achha hai eisi chhoti baate bhi samjhe maa ko maa rahne de
Rosto ko rista rahne de
Janam se khoon se rasmo se koi rista apna ya sutela nahi hota
Bhavnao aur ehsaso se riste apne bante hai...
Krishn ho ya kabir naa jaane eise kitne naam jinhe janam kisi aur ne diya par mamta ki chhav kisi aur ne di
Par ye janam dene wale ke naam se nahi mamta dene wale ke naam se jaane gaye
Riste ko ehsas ke saath viswas dijiye apnapan dijiye
Har kisi ka dil itna bada nahi hota ki dusre ke janame bacho ko dil mei jagah de
Bahut bada dil chahiye
Janam dena aasan hai maa banana mushkil hai
Sindhu taai aur mother teresha aaj itne mahan naa hote inhone janam nahi diya par maa thi
Kuchh riste sharir se nahi dil se bhi janam lete hai....
Comments
Post a Comment