Aaj kahi dur se aajan ki awaj aa rahi thi
Aur sr khud he jhuk gaya dil mei ek sukun sa
Ek pal sab bhul gai chinta jivan ki aapa dhapi sab !!!

Thodi der baad ek dusra vichar aaya jab mai mandir jaati hun ya murti ke samne haanth jodti hun tab bhi to wahi prem hota hai !!

Fir socha ki jab mai charch gai prathna mei bhi to yahi anubhuti thi wahi aankho se chhalkta prem kuchh bhi to antar naa tha!!

Ye meri khuskismati rahi ki mai har dar par maatha tekne ka avsar mila chahe wo mandir ho ki dargah ho ki gurudwara ho ya charch ho
Isliye mai padhi hui ya suni hui basto ko nahi kah rahi jo anubhav hua wahi shabd ban rahe hai !!!

Jab sab wahi ek bast karuna aur prem aur manvata ki baat karte hai to virodh ka to sawal he nahi hai !!

Hamne alag jubane bol li alag rang ke kapde pahn liye to kya ho gaya hum alag to nahi ho gaye banki baate hum sab jaante hai samjhte hai fir bhi manana nahi chahte !!!

Aur ye baate koi samjha bhi nahi sakta ye anubhabv ki baat hai ye khud mahsus karne ki baat hai !!!

Bina samsya ke samasya khadi kiye beithe hai jaati waad ho ya bhasha vad dharm ki baat ho ya prant ya desh ki sab jagah vivad sirf ahnkar aur swarh ka hai asli manvta ya asli aadmi to sab bhitar se ek jeise hai ya u kahe ek he hai !!!

Asli aadmi asli inshan to ek he dharm ek he parivar ka hissa hai manvta ka karuna ka prem ka bhachare ka sadbhavna ka sahyog ka muskuraht ka sukun ka khushiyo ka !!!

Jo jode wahi asli dharm hai kuki har achhi baat jodti hai khushi deti hai sadharan si baat hai hum sab jaante hai bs mahsus karna bhul gaye !!!

Dharm ka ek aur aeth hai kartvy wo kartvy jo manushy ka manushy ke liye hai ,manvta ka dharm prem aur karuna ka dharm !!

Sochiye jara eisa sab mahsus kar gaye hamari dharti kitni khubsurat hogi
Bina dar ke ek surakshit samaj desh aur visv jaha koi seema rekha nahi puri duniya ek parivar !!

Dil se dil ke riste hote hai janmo se koi apna hota to bhai bhai mei bhi jhagde naa hote aur ek dost kabhi bhai se badh kar nahi hota !!!

Ek aur baat ki manvta ko manane walo ki he hamesha kyu jit hoti hai jo shanti ki baat karta wahi pooja jaata hai aur jine naam par hum ladte hai kya wo kabhi eise the jawab nahi mei aayega !!

Har prathna har pooja har padhati hame manushy se manushayata aur manvta thata mahatma aur fir parmatma ke karib hone ki prerna dene marg hai !!

Ye to wahi baat hui ki ek khubsurat sadak kp gandagi se bhar diya jaaye aur ek dusre ko dosh de tum bure to tym bure bs jara si baat hai sadak ek he hai jaha pahuchna wo jagah bhi ek hai najariye ka fark bs chalne ka hai ki aap keise pahuchte hai usme sab ko sahyog de naa ki kisi ka marg avrudh kar ya use galt bata kar !!!

Comments

Popular posts from this blog