Jivan ke prati ye aapa dhapi kyu hai
Bhagna bhagna aur bhagna
Jivan ki raftar mei kahi jina chhut raha hai
Yaad aati hai tab jab umar gujar jaati hai
Apno ki yaad bite lamho ki yaad
Sab kuchh to mila sadhno ke roop mei
Par wo khushi wo sukun pichhe kahi rah jaati hai..
Jivan ke liye sab jaruri hai
Par hum sirf jivan ko aur adhik suvidhapurn
Banane ki chah mei jo hai wo bhi kho dete hai
Kya ho jaayega thoda kam kimti bistar par so le nind to gahri aayegi kya hua jo mahnge hotlo mei naa jaa sake apno ke saath beith kar khane ki khushi shyed kahi adhik hai
Kapde tan dhkne ke liye the jo aaj dikhawa ban gaye
Apne chhutne lagte hai bhid badhne lagti hai
Kab tak jab tak pad hai pratishtha hai peisa hai takat hai fir jab sab khatm hoga tab ye bhid najar nahi aati
Maa aur pita jab nahi rahte tab lagta hai kuchh pal ji lete unke saath
Kisi ne mujhse kaha tha aage badhne ka matlab aapke paas kitna peisa hai
Mai dang rah gai agar eisa hai to nanak kabir meera buddh mahavir ne kun sa peisa joda tha ye to kosho dur the fir bhi hum sab inhe aaj bhi yaad karte hai aur jukte hai
Par kun samjhata unhe ki peisa ya dulat ek suvidha hai jindagi ki khushi nahi...
Sochne aur rukne ki jarurat hai tabhi jindagi khushiyo ke sath suvidhajank hogi
Aur is jivan ka pura aanand le sakenge
Jivan ke ant samy mei sukun hoga
Apno ka saath hoga...
Aur muskuraht ke saath aap alvida kah sakenge...
Vikas vykti ka ho ya samjaj ka jaruri hai
Par ye vikas kin mulyo par hai kis disha mei hai ye bhi sochna jaruri hai
Ek ek vyakti se parivar aur parivar se samaj aur sansar banta hai...
Par kya us parivar mei aaj hamare bache sahi disha mei sahi margdarshan aur sanskaro ke saath aage badh paa rahe hai
Jawab aapko nahi mei milega
Jara sochiye eise vikas ka kya laabh jo dishahin ho
Vikas kijiye par bhagiye mat jivan mei thamna bhi jaruri hai aapne padha hoga kahi dhire chalo surakshit chalo bs to yahi apnana hai...
Khud ko waqt dijiye aur sab ko saath le kar chaliye ...

Comments
Post a Comment