Kabhi kisi ne kaha tha mujhse
Har pal  jagrukta ke saath rahe
Pure hosh ke saath jiye
Kyuki naa jaane kun sa pal
Naa jaane kun sa shabd
Naa jaane kun sa karm
Aapka jivan badal de

     Aur badi gahri baat thi
Bs suna tha padha tha par jab
Eisa jina suru kiya sach mei
Har pal mahsus kiya khud ko
Apne saath hone ka ehsas
Adbhut tha

        Koi ho ya naa ho hum khud hai kya kam hai ye soch aana kya kar rahe kyu kar rahe keise kar rahe iska parunam kya hone wala
Sab kuchh pahle bhi sochte the par ab use delhne ke bhav se karna bina pareshani ke
Ek samarpan aur sradha kaa aa jaana
Koi hai jo hame sambhal raha hai
     
       Wo nishchinta befikri jisne man ko halka kar diya koi bojh nai koi dar nai
Eisa nahi ki sab kuchh ek pal mei ho gaya yatra to abhi bhi jaari hai....abhyas ki aur ye anavrat chalne wali hai

    Is bhav na ki har kshan anmol hai jivan mei gahrai di khubsurti di har kaam ko aanandit ho kar karna sikhaya
Suraj ko dekhna ho ya hawa ko mahsus karna
Khana banana ho ya khana sab kuchh prathna purn ho gaya pooja ho gai
Jivan mei aabhar aa gaya

     Lagne laga kitna kuchh diya hai us parmeswar ne aur hum he dekh nahi paa rahe the us pal ka dhanywad jis pal mei mujh tak wo vichar aaya aur mujhe uski mahta samjh aai ki naa jaane kun sa shabd aur naa jaane kun sa pal aapka jivan badal de

        Utsahpurn jivan jiye ye adbhut hai chamtkar hamare bhitar ke parivartan se he ghatit hote hai bs aap to sab ho jaane dijiye
Apne vicharo ko badha naa bane de
Jo ho raha hai swikar kare aur aap khud he kushal teirak ki trah jina sikh jaayege.....

Comments

Popular posts from this blog