Posts

Showing posts from August, 2017
Image
Teri yaad ...
Image
Naa jaane kiski dua mujh tak aai hai Hawao mei aaj bada sukun hai !!!
Image
Ye bhi koi baat hai bhala Jaha aurat agani pariksha deti hai Sathi hoti hai Juhar karti hai Aur admi gunha kar ke bhi Sant kahlata hai Hinsha shushan aur barbarta Ke baad bhi aurat laxami Kahlati hai Jise pet bhar khana Aur jarurte puri nahi hoti hai Samman aur khwaisho ki to baat chhodiye Purush sirf surush hai Isliye wo palanhaar bhagwan kahlata hai Keisi vidambana hai soch ki Aur mei laakh gun ho to bhi Uska darja peiro mei Bataya jaata hai Aur purush ko ghar ki takat Aur sr ka taaj samjha jaata hai Jis aurat se astitv uska usko he Kamjor bataya jaata hai Ye bhi koi baat hai bhala...
Image
Tu akela hai To gam naa kar Khud ka haath Khud tham le Apne he Kadam ko Apna hum Kadam bana le Fir dekh ki Tujhme kitni Takat hai Tu akela kya kya Kar sakta hai Tu itna balshali hai Apne antarman Ko jhakjhor Brahmand Ki takat Tujhme samahit hai
Image
Hum unke liye pyr ki numaish the Dil to unka khamoshi se kisi aur ko Chahta raha Hum unhe pyr karte rahe Wo sab ko pyr karte rahe Unke chahre se noor Jhalkta tha is labalab pyr ka Aur hum benoor se hote gaye Unke pyr ki is numaish par...
Image
Aaj kahi dur se aajan ki awaj aa rahi thi Aur sr khud he jhuk gaya dil mei ek sukun sa Ek pal sab bhul gai chinta jivan ki aapa dhapi sab !!! Thodi der baad ek dusra vichar aaya jab mai mandir jaati hun ya murti ke samne haanth jodti hun tab bhi to wahi prem hota hai !! Fir socha ki jab mai charch gai prathna mei bhi to yahi anubhuti thi wahi aankho se chhalkta prem kuchh bhi to antar naa tha!! Ye meri khuskismati rahi ki mai har dar par maatha tekne ka avsar mila chahe wo mandir ho ki dargah ho ki gurudwara ho ya charch ho Isliye mai padhi hui ya suni hui basto ko nahi kah rahi jo anubhav hua wahi shabd ban rahe hai !!! Jab sab wahi ek bast karuna aur prem aur manvata ki baat karte hai to virodh ka to sawal he nahi hai !! Hamne alag jubane bol li alag rang ke kapde pahn liye to kya ho gaya hum alag to nahi ho gaye banki baate hum sab jaante hai samjhte hai fir bhi manana nahi chahte !!! Aur ye baate koi samjha bhi nahi sakta ye anubhabv ki baat hai ye khud mahsus k
Image
Jivan de diya jise sirf aur sirf uski khatir Wo iljam lagate hai Ki unki taklif se Hame koi lena dena nahi Kaas hum is mizaj ke hote To hame kabhi koi  taklif He nahi hui hoti Aur tab sach mei Unki taklif se bhi Koi lena dena hame nahi hota Aankho mei paani ki jagah Hotho par muskuraht Hoti Kabhi wo bhi fursat mei beith Kar soche unhe kya sach mei Hamare dard se lena dena hai Ya fir mai sirf unke sukh ki Talash thi Jarurat puri ho jaane par Saaman bekar ho jaata hai Ya saman ki yaad tab aati hai Jab jarurat ho Chaht hoti to wo dard samjhte Bhavnaye samjhte Wo samjhte ek trafa kuchh bhi nahi hota Ab shyed hum bhi Unki trah naa sahi Par bhavnaye marne lagi Hai meri bhi Kyuki zinda hokar jiye bhi to Keise jiye Kabhi kabhi zine ke liye bhi Marna padta hai Sahne ke liye pathar hona padta hai Pas rahne ke liye Dur hona padta hai Kaas wo sab samjhte To ye naa kahte ki Hame unke dard se Koi lena dena nahi hai Unka dard le sare sukh Udhele hai hamn
Image
Kai baar samjh nahi aata ki zindagi kaha jaa rahi hai aur hame kya karna chahiye Ye pal thoda rukne aur samjhne ka isara karti hai khud ka ankalan karne ka ki sab thik to hai !!!      Kai kahaniya hai naa jaane un kai logo ki jo safar par chale the to manjil kuchh aur thi Par chalte huye samjh aaya jaana kahi aur tha aur puri ki puri jivan ki kahani he badal gai !!!     Kai baar ya u kahu aksar ye hota hai ki hum jo hote hai wo hona nahi chahte hum kuchh aur banana ya karna chahte hai par ise bhi alag ek baat hai ki wastav mei hame hona kya hai !!!      Jis din ye baat samjh mei aa jaata hai ki hum kis liye hai to hum jo hona chahte hai aur jo hai sab badal kar ek ho jaata hai aur tab hamari asli saflta ki manjil hame milti hai safar pta chalta hai ki jaana kaha tha !!!      Saflta ye nahi ki hum jit gaye ya haar gaye Saflta us rah mei chalna hai aur ek ek chhote chhote kadmo se aage us rah mei badhna hai aur naye mukam banate huye use hasil karna hai !!!       Jab hama
Image
Kabhi kisi ne kaha tha mujhse Har pal  jagrukta ke saath rahe Pure hosh ke saath jiye Kyuki naa jaane kun sa pal Naa jaane kun sa shabd Naa jaane kun sa karm Aapka jivan badal de      Aur badi gahri baat thi Bs suna tha padha tha par jab Eisa jina suru kiya sach mei Har pal mahsus kiya khud ko Apne saath hone ka ehsas Adbhut tha         Koi ho ya naa ho hum khud hai kya kam hai ye soch aana kya kar rahe kyu kar rahe keise kar rahe iska parunam kya hone wala Sab kuchh pahle bhi sochte the par ab use delhne ke bhav se karna bina pareshani ke Ek samarpan aur sradha kaa aa jaana Koi hai jo hame sambhal raha hai              Wo nishchinta befikri jisne man ko halka kar diya koi bojh nai koi dar nai Eisa nahi ki sab kuchh ek pal mei ho gaya yatra to abhi bhi jaari hai....abhyas ki aur ye anavrat chalne wali hai     Is bhav na ki har kshan anmol hai jivan mei gahrai di khubsurti di har kaam ko aanandit ho kar karna sikhaya Suraj ko dekhna ho ya hawa ko mahsus karna
Image
Hum saath hokar bhi alag alag the Paas hokar bhi dur dur the Par samjh naa aaya ki Kun si door thi jo Juda hone nahi deti thi Sukun ki jagah chhatptaht thi Muskuraht ki jagah mayusi thi Par naa jaane kun si door thi Jo hame juda hone nahi deti thi Naa ehsas tha naa tha apnapan Par paraye se bhi nahi the Naa gum tha naa khushi thi Fir bhi naa jaane kun si door Hame juda hone nahi deti thi Unki jarurte thi ki meri chahte thi Mere sapne the ki unki haqiqat thi Naa jaane kya tha mere aur unke darmayan Mere paas sawal he sawal the Unke pas khamoshi thi Mei khula asman to unki jamin alag the Unki pasand alag thi meri khwaishe juda thi Par fir bhi naa jaane hame kun si door jode thi Hame naa jaane kun si door jode thi...
Image
Bahut dard tha uske sine mei Har baar uska man aaht hota tha Haan kyuki wo suteli thi Suteli maa banana uska durbhagy tha Wo to bs maa jaanti thi Par jamane ne use gahra ghaw diya Kyu hamesha maa he apni aur dusri hoti hai Bachcha bhi to hota hai apna ya dusra sawal us par kyu nai uthte Apni maa bilkhte bacho ko chhod jaaye Kude karkat mei fek de Galiya de mare pite sab sahi Par koi laakh apna ho par janam naa de to wo itni buri kyu ho jaati hai Samjh nahi aaya ki riste sutele hote hai ya vyvhar har baat par ek janam ka rista bhari pad jaata hai Keisi vidambana hai soch ki Kyu ek aurat ko apna hone achha hone ka sabut maanga jaata hai Maa to maa hoti hai Rista to rista hota hai Agar janam he sabse badi baat hai to itne vridha ashram aur anath asram kyu hai Kya us aurat ki mamta nahi kachotati hogi jo apna sara jivan waqt aur pyr kisi aur ke janam diye bacho ko deti hai Uski mamta kitna tadapti hogi Par jab wahi bache apne janam dene wale ke prati apnapan ra
Image
Jivan ke prati ye aapa dhapi kyu hai Bhagna bhagna aur bhagna Jivan ki raftar mei kahi jina chhut raha hai Yaad aati hai tab jab umar gujar jaati hai Apno ki yaad bite lamho ki yaad Sab kuchh to mila sadhno ke roop mei Par wo khushi wo sukun pichhe kahi rah jaati hai.. Jivan ke liye sab jaruri hai Par hum sirf jivan ko aur adhik suvidhapurn Banane ki chah mei jo hai wo bhi kho dete hai Kya ho jaayega thoda kam kimti bistar par so le nind to gahri aayegi kya hua jo mahnge hotlo mei naa jaa sake apno ke saath beith kar khane ki khushi shyed kahi adhik hai Kapde tan dhkne ke liye the jo aaj dikhawa ban gaye Apne chhutne lagte hai bhid badhne lagti hai Kab tak jab tak pad hai pratishtha hai peisa hai takat hai fir jab sab khatm hoga tab ye bhid najar nahi aati Maa aur pita jab nahi rahte tab lagta hai kuchh pal ji lete unke saath Kisi ne mujhse kaha tha aage badhne ka matlab aapke paas kitna peisa hai Mai dang rah gai agar eisa hai to nanak kabir meera buddh mahavir ne
Image
Pyar ka dam bharne wale sun Pyr ka ehsas hua he nahi tujhe Varna naa tum dam bharte pyr ka Naa jatate ki tumhe mohabbat hai       Jab hota hai pyr kisi ko to Uska ehsas khud he pahuch jaata hai Batane kahne ki baat nahi Khud he nibhane ka salika aa jaata hai Parvato ki uchai to samandar sa gahra  hai Hawa ki chhuan to phoolo ki mahk hoti hai        Banki baate jaane dijiye hujur mahbub mei khuda nahar aata hai aur uski khwaishe Uski chahte uske arman pura karna bandagi ban jaata hai Uski ek ek muskuraht par jaan lutane ko ji chahta hai Marna kun kahe jine ko ji chahta hai Jab ruh se pyr gujarta hai Shabd kho jaate hai Aur har khamoshi gungunane lagti hai
Image
Maa          Maa, meri pahli guru aur shikshak !! Aaj mai jo kuchh bhi hun sab unki vajah se !! Jab unke pas hoti hun kyu itni kathorta itna kadai sab kuchh karne ke liye par jab dur hoti hun to samjh aata hai ye unka anushasan he mujhe behtar banata hai !!         Har prasthiti mei dhal jaane ki sikh unhi se mili !! San kuchh mil baant kar upyog karna unhi ne sikgaya !! Sab ko dena unki bahut badi sikh thi !!      Ek vakya yaad aata hai mujhe mai shyed panch varsh ki umar ki thi , padhna band kar unse khana mangne gai unhone puchha paath yaad ho gaya to maine kaha nahi to unhone kaha yaad karke aao fir khana Bade pyr se kaha beta pahle 'ka' aata hai fir 'kha' matlab pahle ka se apna kaam pura karao fir kha se khana khao apne kartvyo ke prati apne karm aur dharm ke prati unki sikh mujhe hamesha prerna deti hai !!         Wo mujhse kahti thi jab tum janam lene wali thi to mai socha karti thi ki meri santan jo bhi ho mai use khub padhaungi aur unhone hamesha pa
Image
DARD PALNA BHI JARURI HAI Dard bhi palna jaruri hai Ye dard jine ki vajah dete hai                           Ye dard bhi bade kamal ki chij hai Buddh ka dad unhe mahan sant bana gaya Meera ka dard unhe mahan bhakt bana gaya Balmiki ko jab dard hua daaku se Mahan rachiyata ban gaye Sabri ke intjar ka dard unhe parmatma se mila deta hai Wahi ansuiya ke santan naa hone ka dard he unhe mahan mata bana jaata hai Naa jaane kitni kahaniya bikhri hui hai Ye dard bhi Zindagi ban jaati hai Sindhu taai ka dard unhe anatho ki mata bana jaata hai To wahi desh ke prati bhakti kisi ko jhashi ki rani bana jaata hai U lagta hai ye dard he sab kuchh hai Isliye ye dard bhi palna jaruri hai... Shiv ko dard hua to jahar pi liya Manvta ke liye Koi dard mei prem ka sandesh de suli chadh jaata hai Ye dard aur use mahsus karne ki takat deta hai Khud ki khud se pahchan karwata hai Jo dard samjh gaya use zina aa gaya Isliye dard palna bhi jaruri hai... Janam he hamara dard se hua Yahi b
Image
NAJARIYA                                                            Hum sab jaante hai ki apni prasthoti ko badalna hai to hame khud ko badalna hoga Par sab jaante huye bhi hum sabhi eisa bahut kam he soch paate hai ya kar paate hai Karan kya hai....           Karan hai sahnshilt aur dharya ki kami saath he sakaratmak soch naa rakhna aur man ko shant naa rakhna aur sabse upar ek aur baat hai ki aapke salahkar ....        Agar humne samjhdari dikate huye man shant rakhte huye sahi soch ke saath khud ko badlna jeise suru kiya aap dekhenge ki prasthitiya khud badlne lagti hai         Asal mei hota ye hai ki prasthiti wahi ab aapka najariya badal gaya aur najarita badlte har chij ko dekhne sochne ka bhi najariya badal gaya aur jis trah aap pratikriya dete the ab wo band hogaya to sab badla hua sa mahsus hota hai....          Khud par kaam kijiye kyuki hum jaante hai samne wala insan ya prasthiti aapke badlne se nahi badlne wali par hum apni puri takat lagate hai ki dusra badal j
Image
ABHIVYAKTI Wo mujhe bewkuf banata raha Aur mai bewakuf banti rahi Sirf ek riste ki khatir Khud ki khatir Uski khatir Ya samaj aur pariwar ki khatir..? Aur isi kasmakas mei Umar dhal jaati hai Akhir mei kuchh bhi nahi bachta Sirf afsos ke... Par kya ye uchit hai Kyu nahi sahas aata Kuchh kahne ka Kuchh alag kar lene ka Jhuth ki khushiya talaste huye aankho mei sirf aashu he aankho mei bharte hai... Kya sab kuchh sambhale rakhne ki jimedari sirf meri hai.. Mei har riste ko jode rakhne mei apni kurbani deti rahu kab tak Sahas to karna hoga Galt ko galt aur sahi ko sahi kahne ki Apni bhavnao ko abhivyakt karne ki takat to honi he chahiye Wo sanskar kis kaam ka jo mujhe kamjor banata ho Sahas ki nai parmparaye dalni hogi Tabhi aurat saksham hogi Aur hum shasakt honge...
Image
Mushkil ho jaata hai Pura ghar sambhal leti hun Par khud ko sametna sambhalna mushkil ho jaata hai... Itna bikhraw mere astitv ka Ki kun sa chhor pakdu Ek sambhalta nahi ki dusra chhut jaata hai Wo iljam lagate hai tum kitni ast vyast ho Par kun samjgaye unhe ki unji vystata sambhalte sambhalte ho gai hun eisi Bada man karta hai koi mujhe bhi kabhi sambhal le Do shabdo se haal chhal puchh le Mere liye bhi muskurane ka waqt nikal le Meri khushiyo aur jarurat ke liye waqt nikal le Mera astitv saja de Sirf ulahno ke bich jite jite thak gai hun Koi do shabd sarahna ke bhi bol de Sab ko manate manate khud ka ruthna bhul gai hun.. Sab ki pasand naa pasand yaad rakhte rakhte Apni pasand ab dhundhli ho gai hai Saare riste sambhalte sambhalte Apne riste musham ki trah he yaad aate hai Itne par bhi sirf mai muskurati najar aau Bina ruke sab ki jarurat puri karte najar aau Pura ghar sambhal leti hun Par khud ko sambhalna mushkil ho jaata hai..
SIKH AUR ANUSARAN     Kisi se kuchh achhi baate sikhna            Aur kisi ka anusaran karne lagna            Bahut alag baate hai....            Har inshan ki apne gun aur dosh hote                Hai Anusaran mei hum apna hosh kho                   Dete hai Jo hame bhatkata hai....            Sahi galt ki soch khatm kar deta hai...            Isliye kisi mei kuchh achha hai jarur                  Sune dekhe parkhe fir sikhe Par               Anusaran karne se bache..
Image
AATMNIRBHARTA Jivan mei jab tak sahare ka vikalp hota hai Hum Aatmnirbhar nahi ho paate hai..... Aatmnirbhar hona hai to sahare ka vikalp hatana hoga .... Aatmnirbharta sirf arthik he nahi Bhavnatmak bhi hoti hai Sahyog prapt karna aur khud ko kisi sahare chhod dene mei antar hota hai Sahyog jarur prapt kare par Sahare na dhundhe.... Aatmnirbharta aapko majbuti deta hai... Bhavnatmak ho ya manshik Arthik ho ya samajik Aatmnirbharta khud se khud ki pahchan karta hai .apne kartvyo se apne guno se hamari pajchan hoti hai.. Sahas aur swalamban badhta hai... Majbuti aati hai aur aatmviswas badta hai.. To hum Aatmnirbhar bane...   
Image
LENE KI PTRATA Prakrti sabhi ko barabar deti hai.. Par lene wala us awasar ka jo prakrti ya prmarma de raha use keise le rahe le bhi rahe ya nahi is baat ka bahut fark padta hai.. Lene wale ki ptrata keisi hai... Usi anusar uska jivan nirdgarit hota hai.. Jeise barish ka paani sab ke liye barabar hai Par koi bij koi ankuran kaante ke pudhe mei badlta hai koi phool ke pudhe mei Aur hamari yahi patrata hamare dene ka tarika bhi banti hai Phool ka pudha phool he dega Kaante ka pudha kaanta he chubhayega.. Dene wala barabar he deta hai.. Hum taye karte hai ki hume kya lena aur us anusar jivan nirman hota hai.... Pahchan banti hai... Samman milta hai.... To jivan mei lene ki patrata badhaiye Keise lena aur kya lena iski samjh hona jaruri hai..... Tabhi koi buddh banta hai To koi angulimal Wahi baalmki kabhi daaku se sant ban jaate hai.... Sab hamara chunav hai.... Sab kuchh....
Image
Meri khwaisho par itni bandishe naa laga Teri bandishe mera irada aur majbut karti hai..
Image
Mai kya kya kar sakti hun tumhe andaja nahi hai... Tu mujhse janam le itna husla rakhta hai To tu soch ki mai janam dene wali aurat Kitna husla rakhti  hun...
Image
Kyu soche jamane mei kun apna hua Hum kis kis ke huye Yahi khyalat kafi hai Khus rahne ke liye..
Image
KYU LOG DUSRO KI BETIYO KE LIYE ITNA KATHOR RAVAIYA APNATE HAI.. USKE SUKH SE USKE DUKH SE KOI MATLAB NAHI HOTA..... APNI MAA APNI BAHN AUR APNI BETI KE LIYE JEISA SOCHTE HAI DYSRO KI BETI KE LIYE NAHI SOCH PAATE EK AURAT APNA SAB KUCHH DETI HAI EK INSAN KE PICHHE AUR WAHI INSAN USKE BAARE MEI SOCHTA NAI YA TO JARURAT BANA LETA HAI YA SAJAVTI SAMAN SAMAJ MEI DIKHANE BHAR KE LIYE USKE HOTE WO BAHR KAI RISTE RAKHTA HAI AUR SARI MAAN MARYADA US AURAT KE LIYE AUR US PAR YE SOCHNA KI WO AURAT SHIKAYAT TAK NAA KARE KYA ITNI BHI INSHANOYAT NAHI HOTI US STRI US AURAR KE PRATI KYU ITNI KATHORTA USKI ACHHAIYO KO KAMJORI BANA DENA PARIVAR AUR SAMAJ KO BACHA KE RAKHNA HAI TO SABHI KO SOCHNA HOGA SHYED ISLIYE AAJ ITNE GHAR TUT RAHE TALAK KE MAMLE SAMNE AA RAHE AUR BACHO KO BHI BHATKAV MIL RAHA KYUKI PARIVAR MEI SANTULAN NAHI HOGA TO KOI DESH KOI SAMAJ NAA SANSKARIT HO SAKTA HAI NAA AAGE BADH SAKTA HAI... SOCHE JIS NAARI KE HAATH BHAVISHY HAI USKA SAMMAN KARE.... WAHI PED FALD
Anushasan hai Prabandhan ..... Wo prabandhan jo hamare najariye aur jivan ko sahi disha mei lekar jaata hai.... Aur yah khud ke bhitar se he aa sakta hai... Anushan ke bina bhi jivan hai Par wo us nadi ki trah hoga jo uphan aane par disha hin ho jaati hai Vikas ki jagah vinas he hota hai...... Jaha anushan hai waha santulan hai aur sayam hai .... Aur wahi samman hai....
Kuchh riste jinhe geir kaha jaata hai... Kuchh riste jinhe sutela kaha jaata hai..... Kya eisa sach mei hota hai......? Kya fir fark najariye ka hota hai......? Kya fark sirf isliye ki samaj sadiyo se yahi sikha raha hai....? Eisa hota to apno mei bhi vibhishan shakuni aur kansh kyu hai... Fir yasoda aur dhaye maa kyu hai... Dosti ke aur geiro mei bhi apno ke kai kahaniya bhari hui hai..... Fir bhi ye najariya kyu ki sirf khun ke riste he apne hai....... Eisa hota to duniya mei anath ashram naa hota ... Aur naaa vridhashram hota......
Aap prasthitiyo ka istemal kare na ki prasthiti ko aapka istemal karne de..
PRSTHITI KEISI BHI HO KHUD KO BEHTAR RAKHE..
Jis trah paani naa milne par paudha murjha aur fir sukh jaata hai usi trah apnapan aur pyr naa mulne par riste bhi murjha jaate hai aur fir sukh jaate hai....
Ye khwaise jitni taklif deti hai Ye khwaise jine ki vajah bhi utni he banti hai..